lover sms 'WackyWant'

 

Lovers SMS

Dil umeedo ki shamma jala rakhi hai
Hamne apni alag duniya basa rakhi hai
Is umeed ke saath k ayega sms aapka
Hamne mobile per nazrein jama rakhi hain


Yaar ne dil ka haal batana chod kiya
Hamne b gehrai main jana chor diya
Aap ne sms karna kya band kiya
Hamne mobile charge karna chor diya


Woh zindagi he kya jisme mohabbat nahi
woh mohabbat hi kya jisme yaadein nahi
woh yaadein kya jisme tum nahi
Aur woh tum he kya jiske saath hum nahi


Apki muskan hamari kamzori hai
Keh na paana hamari majburi hai
Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko
Kya khamoshi ko zuban dena zaruri hai


Kon jane kab maut ka paigam aa jaye
Zindagi ki akhari sham aa jaye
Ham toh dhundhte hai waqt aisa jab
Hamari zindagi aapke kam aa jaye


Nigahe aapki pehchan hai hamari
Muskurahat aapki shaan hai hamari
Karna hifazat tum apni
Kyu k saanse aapki jaaan hai hamari


Husn ki adalat hogi
Ishq k muadma hoga
Gawahi mera dil dega
Mujrim tera pyaar hoga


Har sumandar ke kinare hote hain
Kuch apni jaan se b pyare hote hain
Phir kyon kehte ho akele re jayenge
Zindagi main yadon ke b sahaare hote hain


Kitna b chaho na bhool paoge hame
Jitni door jaoge nazdik paoge hame
Mita sakte to to mita do yaden meri
Magar kya sapno se juda ker paoge hame


Rishton ki ye duniya hai nirali
Sab rishton se pyari hai dosti tumhari
Manzur hai aansu b aankhon main hamari
Agar aa jaye muskan hothon pe tumhari


1 | 2 | 3 | 4 | 5 | 6 | 7 | 8 | 9 | 10
11 | 12 | 13 | 14 | 15 | 16 | 17 | 18 | 19 | 20